Geneva International Motor Show

Geneva International Motor Show ko Switzerland mein 7 se 17 march tak aayujeet kiya jaa rha hai, auto show ke 89we sanskarnko sabse pehle media ke liye 5 aur 6 march ko plekspo kanvensan cente mein khola gaya hain ish event ke doran 96 car nirmata company aur 88 kamponent company hisha le rhi hain, ish baar 7 lakh logo ke yeha puhchne ki ummed hain joki pichhle year ke 6 lakh 60 hazar ke mukable jayda hain.

Volkswagen dune buggy
Volkswagen dune buggy

Volkswagen Super Kyout Electric Dune Buggy Car
Pehle Press day mein volkswagen ne apni sabse chhoti electric dune buggy car ko showcase kiya hain, ish 2 seater car ke design ko kaffi chhota rakha gaya hain, wahi ismain water registate leather interior laga hain, car mein 62-KWh samta ke battery pack ko lagaya gaya hain, jise ek baar full charge kar 250 KM tak ka rasta tey kiya jaa sakta hain. Ish car mein 7.2 Sec mein 0 to 100 ki speed aur 160 Km/h ki Top Speed.

 Audi Q4 E- Tron
Audi Q4 E-Tron
 Audi Q4 E- Tron
Audi ne apni sabse behter electric SUV ko Geneva Internationsal Motor Show mein showcase kiya hain, joh ek baar full charge ho kar 450 KM tak ka rasta tey kar sakti hain iski production year 2020 se suro hogi.

Pininfarina Battista
Pininfarina Battista 

Italian Hyper Cars Company Pininfarina ne new generation ki sabse powerfull electric car ko Geneva International Motor Show ke doran showcase kiya hain, car ke design ko kaffi agreshiv jaankar herani hogi ki Battista car 1900 highpower ki takkat peda karti hain, aur 350 Km/h ki top speed tak ashani se pahuch jati hain.

volvo polestar 2
Volvo Polestar 2

Volvo Polestar 2 event mein Volvo ne Tesla model 3 ki takkar mein Polestar 2 ko launch kiya hain, ek charge mein yeh car 480 Km tak ka rasta tey kar sakti hain aur 0 se 100 kmph ki speed 5 Sec mein pakdti hain.



Post a Comment

0 Comments